Abhishek Dwivedi
JNV Rewa, Madhya Pradesh I'd like to become a Dakshana Scholar and hopefully attend Medical collegeI would like to become a dakshana scholar and hopefully attend medical college because mujhe lagta hai ki mein dakshana ka chatra bankar apna aur apne parivar ka sapna pura kar sakta hun aur ek achha doctor bankar apne samaj tatha desh ki seva kar sakta hun.
Mera kati esa manna nahi hai ki bina kisi sahayta ke koi vyakti apne lakshya ki prapti nahi kar sakta lekin agar kisi vyaki ko uski lakshya ki prapti ki daud mein kisi ki sahayta preapt hoti hai to use apna lakshya prapt karne me aasani hoti hai aur lakshya ki prapti ki sambhavana shat pratishat ho jaati hai.
Mere anusar kisi vyakti kr lakshya prapti ke safar mein navodaya Vidyalaya ek gaadi ka kaam karta hai jisse usko lakshya ki prapti mein aasani hoti hai. Lekin gaadi milne kr baad bi agar pathik ko yah Nahi pata rahta hai ki kaise gaadi ko chalakar gantavya tak pahunchana to use gantavya tak pahunchne mein kathinai hoti hai aur deri ho jaane ke kaaran vah apne lakshya kop rapt karne mein asafal ho sakta hai lekin agar usi vyakti ko yah bhi bata diya jaata hai ki kis prakaar gaadi ko chalana hai ya kis prakar iske sabhi yantro ka upyog karke aage badhna hai to vah samay rehte hi apne gantavya par pahunch kar apna sapna sach kar sakta hai.to dakshana pathik ko gantavya tak jaane mein use gaadi chalane ka prashikshan dene ki mahatvapoorna kadi ke roop mein karya karta hai.
Navodaya kisi koyle ke bhandaar se hire ki khan ko khoj kar usme se hire nikalne ka karya karta hai.lekin vah hira tab tak apne saundarya aur chamak ko nahi bikher sakta jab rak use bhale prakar se tarasha nhi jaata dakshana hire ko tarashne ke kaarkhane ke roop mein karya karta hai jiske baad vah apni chamak ko bikherta hai. is liye