Vikas Kannaujiya

JNV Gorakhpur, Uttar Pradesh
I'd like to become a Dakshana Scholar and hopefully attend Medical college
Mai iss dakshana foundation me bahut hi interest rakhta hun because mujhe lagta hai ki jis chiz ke liye mai idhar udhar bhatakata rha o subidha mujhe dakashan me hi mil sakti hai .mai vikas kumar ek bahut hi middle family se belong karta hun.mai childhood se curious tha .childhood me jab mai padhna chaha too mujhe primary school mein shiksha mile ye meri chahat puri nahi hui main jaise jaise bara hota gaya mere andar curiousity badhti gayi . mere ek bade bhaiya aur badi didi hai . main shehar kje school mein padhna chahta tha par ghar ki aarthik isthiti achchi nahi hone ke karan main kuch nahi kar saka . jaise taise main gaun mein padha par jab main thora bada hua toh mujhe navodaya vidyalaya ke baare mein pata chala maine navodaya vidyalaya ki taiyaari ki kitaab kharidi aur taiyari ki . bhagwan ne mera saath diya aur main navodaya mein aa gaya abhi main achche se padh raha hoon paruntu meri curiousuty abhi khatm nahi hui mujhe lagta hai ki main apje dimag ka sadupoyog aur behter pardarshan karne ke liye mujhe aur suvudhayein jaise lab computer aadi ki jaroorat hai aur yeh sab mujhe kewal dakshana mein hi mil sakta hai . maine iske liye do saal pehle se hi taiyari kar raha hoon kyunki mujhe apne senior se iske baare mein pata chal gaya tha main aaj bahut khush hoon ki bhagwan ne mujhe ek mauka de raha hai apni jindagi mein kuch karne ka .is liye lagta hai ki mere kiye ek dakshana ek platform ki tarah hai jo humein safalta ki oor le jati hai . maon iska aaabhar wyakt karta hoonki yeh mere jaiose gareeb pariwar ke bachche ko gaun ki jindagi se nikal kar Prakash ki oor le jaane ka prayaas kar rahi ghai . main aopni jindagi mein jab doctor ban jaunga toh meri bhi yahi ichcha rahegi ki main iska ek sadasya bankar desh ki sewa karun
dhanyawaad
Coaching Location: JNV Pune
Batch: NEET 2019