Nitish Kumar

JNV Jehanabad
I'd like to become a Dakshana Scholar and hopefully attend Medical college

Mere parivar ki arthik stithi acchi nhi h . aur agar main private coaching dwara padhne ki sochta hu to vo mere parivar ki stithi ke anukul nhi hotui. Dakshana hamare tatha anya gareeb parivaar k baccho ke liye wardan hai jo haemin free me coachng provide karti hai aur un unchaiyon ko chhune ka mauka deti hain jo hjamara sapana ha i.Aur sayad vo sapnae Dakshana ki madada ke bina opure nhi ho pate. Main Mr. Mohnish Pabrai sir tatha unke sare mahanubhavo ko salam tha dhanyawaad deta hun jinki ek pahl se bharat ke hazaron gareeb pariwaqar tatha unkle saath jude unke sambandhi,gaon ,jila , rajya tatha bharat desh ki unnati tatha pragati me ek bada yogdaan diya hain. Dakshana me chune gaye lagbhag sabhi bachhe gaon me niwaash karte hain unke under ki chhupi taents ko ek sunder pushpa me nikharne ka mauka deti hain jo sayad kaliyao se pushp me pariwartit hone se pahle h murjha jati . Main Dakshan ki issi madad aur vardan ko ek dohe se prastut krna chaha hu. “ TARUWAR PHAL NHI KHAAT HAIN , SAROVAR PIYAT NA PAN, KAH RAHIM PAR KAJ HIT, SAMPATTI SACHHI SUJAN”. Jis prakar ped phal nhi khate tatha sarovar apna paani swam nhi pite ussi prakar Dakshasna gareeb baccho par apni krupa banaye hain. Main Doctor to nhi banana chahta lekn vigyann ke area me age chahta hu tatah sabhi se hatke kuccha lag krna chahta hu jo desh aur samaj ke hit me ho aur duniya mujhe mere naam se pahchane.

Note: This is an exact reproduction of the essay sent to us.

Coaching Location: JNV Pune
Batch: NEET 2020