Mukesh Kumar Chaudhari

JNV Bhagalpur
I'd like to become a Dakshana scholar and hopefully attend IIT

Mera name Mukesh Kumar Choudhary hai. Dakshana ke bare mein kaksha nawam mein suna tha. Us waqt maine apne dimag se nikal diya tha ki Dakshana kya hai. Usi saal mere school se ismein do
bachchon ka chayan hua. Jismein ki ek the Ayush Bhaiya. Maine unse iske bare mein puri jankaari li aur maan mein thaani ki main bhi usmein jaunga. Aaj main Dakshana mein hun aur do din beet chuke hai aur mujhe pata chal chuka hai ki yeha par main apne lakshya ko pane mein safal rhunga. Yeha par sabhi shikshak baht ache hai. Mujhe sabse jaida ache Ganit ke shikshak lagte hai. Yeha pe sabhi bachchon par ache se dhyan diya jata hai. Humare sabhi shankao ko yeha ke shikshak dur kar dete hai. Yeh humari madad ke liye humesha taiyar rehte hai. Yeha ka Dakshana ke paas sabhi subidhayon ka lais hai.
Main yeha par aakar khush hun. Bas mujhe apne lakshya ki aur agrasar hokar tatha maan lagakar padhai karni padhegi.
Dakshana mein aakar koi bhi samajh sakta hai ki woh kuch khash hai. Dakshana apne sapno ko putra karne ke liye ek manch pradan karta hai aur use ek sunhera mauka deta hai ki who apne mummy papa ke ummido ko pura kar sake.
Dakshana ke bare mein jitna kaha jae utna kam hai. Main apne chote bhaiyon se ( jo iss saal pariksha denge) kehna chahunga ki agar apne sapno ko pura karna chahte ho to Dakshana mein aa jao.Iski pariksha pass karne ke liye ji tod mehnat karo . Apne sapno ko pura karne ke liye Dakshana se achi jagha ho hi nhi sakti. Main itne ache sansthan mein padh rha hun. Yeah mere liye garb ki baat hai.
Note: This is an exact reproduction of the essay sent to us.

Coaching Location: JNV Bengaluru Urban
Batch: JEE 2020
Graduation College: IIT Guwahati
Stream: Chemical science and technology