Anju Kumari

JNV Sheohar
I'd like to become a Dakshana scholar and hopefully attend IIT

Mai dakshana scholar banna chahti hoon aur asha hai ki mai engineering college me jaungi kyunki mujhe apne par vishwaas hai ki ye mai jaroor karungi. Isse meri ek alag pehchan banegi jisse sabhi log mujhe jan paye. Jaisa ki hum log jante hain ki dakshana iit ke bahut acchha tarika haijisse mai us lakshya ko prapt kar lungi jise mai chahti hoon. Agar maine iit kr li to mujhe apne par garv hoga aur mere papa ko bhi mere upar garv hoga. Mai bahut prasiddh banna chahti hoon taki sabhi log meri chahat kare aur mai unka khule dil se madad kar saku. Yaha par bahut talented teachers hain ki mai iit me sthan prapt kr lungi. Ye mere liye bahut acchha avsar hai, aisa har kisiko nhi milta hai isiliye mujhe apne par garv hai ki mai bhagyashali hoon aur mera selection dakshana scholar me hua. Yaha par sab kuch muft milta hai, dhan bhugtan krne ki zaroorat krne ki zaroorat nhi hai, jaisa ki mai janti hoon ki papa mere liye kya kuch nhi krte hain. Mai ek garib parivar se gujartoi hoon, isse Khushi ki baat kya hogi ki mi jis school me jati hoon vahan sab kuch muft milti hai. Humlog to bahut khush ho gye. Papa to phule na sama rhe the. Jab maine dakshna ka t-shirt pehna to mujhe apne aap me ajib sa mehsoos hua ki jaise mai sabse alag hoon. Meri ek alag pehchan ban gyi hai. Mujhe itna acchha avsar mila hai to mai is avsar ko bharpur upyog krna chahti hoon aur bahut mehnat karungi. Ye ek chunoti hai mere liye jivan k safar ko age badhane ki jo mere bhavishya bahut achha hone wala hai. Iske liye jo ban padega mai karungi. Mai apne school apne mummy-papa ka naam roshan karna chahti hoon aur unka sapna poora krna chahti hoon.
Isliye dhanyavad dakshana scholar itna acchha avsar dene ke liye.
Note: This is an exact reproduction of the essay sent to us.

Coaching Location: JNV Bengaluru Urban
Batch: JEE 2020
Graduation College: NITK Surathkal
Stream: Mining Engineering